Monday, May 31, 2010

Ghazal !

Shab ki ra'naiyaan hen pukaren usko,
Sab hi veraniyaan hen pukaren usko...

Vo jo zehn-o-dil mei sama sa gaya hai,
Meri parchaiyaan hen pukaren usko...

Sukoon-o-qaraar sab le gaya hai voh,
Ajab betaabiyaan hen pukaren usko...

Ye um'r, aur shaukh-e-tanha safri,
Ku dil ki galiyaan hen pukaren usko...

No comments:

Post a Comment